Kalakaar hun main

Picture of an empty stage for an artist to perform
Kalakaar hun main

Roz ki bheed bhaad mein, bhay mein ghute tere voh vichaar mein,
Kalakaar hun main

Maa ki mamta, toh kabhi premi kaa ek tarfa voh pyaar hun main,
Kalakaar hun main

Bhrashtachaar, aatank, balatkaar ke khilaaf sadiyon se cheekti voh guhaar hun main
Kalakaar hun main

Kabhi jeet ki khushi, kabhi haar kar bhi chalte rehne ki pukaar hun main
Kalakaar hun main

Sathar saal kaa buzurg gaayak hun,
Naukri karta hun voh lekhak hun,
Aur ‘passion’ follow karte hue haath mein liye guitar hun main,
Kalakaar hun main

Lakh koshish karle, par nahi rok paayega mere khayaalon ko tu,
Kabhi kalam, kabhi nritya, toh kabhi dhun par sawaar hun main,
Kalakaar hun main.

Nani, tu badi yaad aati hai

So it’s been exactly two months since I lost my nani. Been trying hard to write this for her, but would stop writing because I ended up crying and missing her too much. Dedicating this to my nani, who was the most beautiful and chirpy woman I know. Love you, wherever you are 🙂

Waqt ho gaya hai ab tujhe mujhe chhode hue,
Par naa jaane kyun teri yaad mujhe chhod kar nahi jaati hai,
Nani tu bada yaad aati hai

Pyaar karne waale toh bohot hain,
Par kisi kaa pyaar vaisa nahi, jaise tu sir par fer kar kar jaati thi,
Naani tu badi yaad aati hai

Kaun mujhe chhup chhup pyaar kar 500 ke note de jaayega, jaise tu de jaati thi?
Kaun mujhe “Puttar tu bada kamzor ho gaya hai” keh kar ghee mein latpat paranthe khilaayega, jaise tu khilaati thi?
Naani tu badi yaad aati hai.

Kaun mujhe baagdo billi aur sarla behenjee ki kahaaniya sunaayega, jaise tu sunaati thi
Naani tu badi yaad aati hai.

Tere ghar abhi bhi jaata hun, Aur use abhi bhi naani kaa ghar kehlata hun,
Bas kami itni hai uss ghar mein nani tu nahi,
Voh ghar toh hai, par uss ghar mein uski ruh nahi

Jhooth nahi bolunga, toota zarur hun andar se
Teri arthi uthaane kaa, tujhe aakhri saans lete dekhne kaa gam abhi bhi zinda hai mujhme,
Par fir bhi dil khol kar, muskuraakar jee raha hun, Bilkul vaise jaise tu muskuraati thi,
Nani tu badi yaad aati hai.

If you enjoyed the poem above, sharing a beautiful video of my nani that I shot when she was with us.

https://www.facebook.com/suman.pruthi.9/videos/1404312876330659/

Khushi se itna pyaar kyun karta hai tu?


Khushi se itna pyaar kyun karta hai tu,
Ek baar gam se haath mila kar toh dekh

Jeet ke itne peeche kyun pada hai tu,
Ek baar zara saa haar ke toh dekh

Khushi mehsus karne kaa Mazaa hi kya,
Agar gam kaa aansu nahi piya.

Pyaar karne aur paane ki voh ada hi kya,
Agar tanha nahi jiya

Jab mausam chaar hai, aur phool anek,
Toh khushi ko gam se zyada pyaar kyun karta hai tu,
Uss dost ko khone ke bhay se, pyaar karne se kyun darta hai tu.

Buzdil ki tarah ghut-ghut ke kyun jeeta hai,
Ek baar apni awaaz duniya ko suna kar toh dekh.

Khushi se itna pyaar kyun karta hai tu,
Ek baar gam se haath mila kar toh dekh.

Dil ko thoda toh dhadakne do

Zindagi Ek baar jeene ko mili hai,
Usko khul ke toh jeene do,
Hasne do, rone do, jeetne do, haarne do,
Par dil ko thoda toh dhadakne do.
Thodi galtiyaan mujhe tum karne do,
Pyaar thoda mujhe karne do,
Thoda saa dvesh bhi tum rakhne do,
Dil ko thoda toh dhadakne do.
Us pahaad par mujhe Chadne do, baarish ke paani ko, uss chidiya ki chahak ko, phool ki mehak ko thoda toh mehsus karne do,
Dil ko thoda toh dhadakne do.
Sapne mujhe tum dekhne do,
Tutne do, bikharne do, aur fir se uthkar chalne do,
Dil ko thoda dhadakne do.
Voh bachcha abhi bhi Zinda hai mujhme, jo darna nahi jaanta, sirf khushi jaanta hai.
Apne usoolon se use ghutne mat tum do, saans use toh tum Lene do,
Dil ko thoda toh dhadakne do.
Agar kisi aur ke Jaise Zindagi hi jeeni thi, toh murda mujhe tum banne toh.
Agar aisa nahi hai, toh Thoda matlabi mujhe tum banne do,
Dil ko thoda tum dhadakne do.