Kalakaar hun main

Picture of an empty stage for an artist to perform
Kalakaar hun main

Roz ki bheed bhaad mein, bhay mein ghute tere voh vichaar mein,
Kalakaar hun main

Maa ki mamta, toh kabhi premi kaa ek tarfa voh pyaar hun main,
Kalakaar hun main

Bhrashtachaar, aatank, balatkaar ke khilaaf sadiyon se cheekti voh guhaar hun main
Kalakaar hun main

Kabhi jeet ki khushi, kabhi haar kar bhi chalte rehne ki pukaar hun main
Kalakaar hun main

Sathar saal kaa buzurg gaayak hun,
Naukri karta hun voh lekhak hun,
Aur ‘passion’ follow karte hue haath mein liye guitar hun main,
Kalakaar hun main

Lakh koshish karle, par nahi rok paayega mere khayaalon ko tu,
Kabhi kalam, kabhi nritya, toh kabhi dhun par sawaar hun main,
Kalakaar hun main.

Khushi se itna pyaar kyun karta hai tu?


Khushi se itna pyaar kyun karta hai tu,
Ek baar gam se haath mila kar toh dekh

Jeet ke itne peeche kyun pada hai tu,
Ek baar zara saa haar ke toh dekh

Khushi mehsus karne kaa Mazaa hi kya,
Agar gam kaa aansu nahi piya.

Pyaar karne aur paane ki voh ada hi kya,
Agar tanha nahi jiya

Jab mausam chaar hai, aur phool anek,
Toh khushi ko gam se zyada pyaar kyun karta hai tu,
Uss dost ko khone ke bhay se, pyaar karne se kyun darta hai tu.

Buzdil ki tarah ghut-ghut ke kyun jeeta hai,
Ek baar apni awaaz duniya ko suna kar toh dekh.

Khushi se itna pyaar kyun karta hai tu,
Ek baar gam se haath mila kar toh dekh.